Internet Ka Istemal Or Hamari Rozmarra Zindgi

Hamri rozmarra zindgi main 

internet ka istemal hamari zororeyat zindgi ke ahadaaf per munhasir ha. Rozana ki bunyad per hony wali hamri sergermion ka faislay Internet ke istemal ka bade hoty hain. Internet ne hamri zindgi ko asi jiddat bakshi k hum apna beshter time mukhtilef websites per guzarana pasand kerty hain.

Internet ka musbet istemal hamari zindgi ko assan,sada or shel banata ha. Internet hamin zati, masherti, or mahshi tarqi k liye mufeed data, maloomat or illm meyesser kerta ha. Ab ye humry per munhasir ha k jo waqat hum duniya ber main pheali websites per serf kerty hain wo kis qadder karger or niteeja khaiz hain. Yahan ye khena Baja ho ga k information technology ki duniya main Internet ek inqalab ka naam ha.

Internet ke lataad istemal hain. Online education k liye internet ka istemal kia ja raha ha. Karobar k froogh k liye internet ki mawanat hasil ki ja rahi ha. 

Internet k istemal main her shakas ko mukmal azadi hasil ha. Her shakas apni marzi se iska istemal ker sakta ha. Ye ek aisa resources ha jo her kisi ko apna carrier banany ya karobar ko traqi ki manazil ki terf ley jany main maddad from kerta ha. Liken ager iska istemal positive ho.

Computer ka worldwide network hamri zindgion main roz ba roz zeberdast tebdeli la raha ha. Internet istemal kerny ki telab roz ba roz berhti ja rahi ha. Ek serway report ke mutabiq duniya ki 40% se zahid abadi Internet se munslik ha. 

Yeahi waja ha k hum mukhtilef maloomat or terz e zindgi ki jadeed sholihat se jury howy hain. Is waja se puri duniya main logon ki ek beri tadaad different devices ka istemal ha. Most of devices neichy mentioned hain jin ke zreihe log Internet se connect  horahy hain. 

Mobile
Teblet
Computer 
Laptop etc

Hum apny din ki shrooat khaberin or emails dekhny ke bade kerty hain. Is ka mutleb ye ha k jaisy hi hum bedar hoty hain hum mukhtilef zreihe se hasil malomat  se lebraiz ho jaty hain or hum is jidojohed main hoty hain k kon si maloomat drusat hain or konsi ghalt. 
Internet ke musbat istemal ka mutelb ha k hum faisla kerny ki salahiat hasil ker laity hain. K hamary din ke liye kia ahem ha. 
Internet data or malomat ka ek waseye on areez sumonder ha jis main maloomat ka zekheera zayada hony ki waja se hamary karobar or lifestyle ka andaz badel sakta ha. Yahi waja ha k hamri rozmarra ki zindagi main Internet ka istemal waqhi ahem or challenging ha. Taleem main Internet ka istemal students or teachers dono ke liye tore per neye mawaqe paide ker raha ha. 
Internet per hum beshmar activies ker sukty hain. Agly blog main hum ye janany ki koshish kerin gay k internet hamari zindagi main kia kidar ada ker raha ha or hamri zindgi ko kiasy mutasir ker raha ha. Neaz Internet per hamri kis terha ki sergermian hain. 


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Buy A Car with use of Internet

بلیو ورلڈ سٹی اسلام آباد پاکستان/Blue world city Islamabad Pakistan

Internet ke fawahid ya advantages